roz baRtaa huuN jahaaN se aage
phir vahii lauT ke aa jaataa huuN
barhaa toR chukaa huuN jinko
unhii divaaroN se Takraataa huuN
roz basteN haiN kaii shahar naye
roz dhartii meiN samaa jaate haiN
zalzalo meiN thii zaraa sii garmii
vo bhii ab roz hii aa jaate haiN
jism se ruh talak ret hii ret
naa kahiiN dhuup naa saayaa naa saraab
kitne armaan haiN kis sahraa meiN
kaun rakhtaa hae mazaaroN kaa hiisaab
nabz bujhtii bhii bhaRaktii bhii hae
dil kaa maamuul hae ghabraanaa bhii
raat andhere ne andhere se kahaa
ek aadat hae jiye jaanaa bhii
qaus ik rang kii hoitii hai tuluu'a
ek hii chaal bhii paimaane kii
goshe-goshe meiN khaRii hae masjid
shakl kyaa ho gayii maikhaane kii
kaun kahtaa hae samandar huuN maiN
aur merii jeb meiN qatraa bhii nahii
khairiyat apnii likhaa kartaa huuN
ab to taqdiir meiN khatraa bhii nahiiN
apne haathoN ko paRaa kartaa huuN
kabhii quraaN, kabhii giitaa kii tarah
chaNd rekhaaoN meiN siimaaoN meiN
zindagii qaid hae siitaa kii tarah
raam kab lauTeNge, maaluum nahii
kaash raavan hii koii aa jaataa