AGNI kokh se janma mein/ chimney ka dhuan nahin/shram ka tapt itihaas hoon/aakash par ankit/dharti ki gahri likhawat hoon/aaj simta hua/kal aachadit mein shram ki vijayee dhumra-dhwaja hoon/bhavishya ka hastakshar hoon/bhukhe peto me mein bhi palta hoon ashroo nahin angaar ban nikalta hoon/dhah jate hain sab maan jab kaal-dhwaja phairati hain/mein kaalikh nahin "kaal-likh hoon"/safedposhon ki dahshat hoon.