Paani ki lehron mein chhupi hai ek anokhi kahaani
Dard bhi aur darr bhi, chhaayi hai yahan pareshaani
Aanamika Kalia writes a poem on the devastation from rains in Himachal Pradesh.
Paani ki lehron mein chhupi hai ek anokhi kahaani
Dard bhi aur darr bhi, chhaayi hai yahan pareshaani
Kisaan ki fasal ki pyaas bhujhaane aayi thi yeh baarish..
Par tabaahi ka manzar bana kar de gyi dil mein khalish
Kaise keh dein ki yeh hai kudrat ka kahar
Jab manushya ne hi milaaya prakriti mein zehar
Sookhe patton ki tarah udaa dia jinka basera
Kya hoga unki zindagi mein fir ek naya savera
Toofan ki aandhi ne le lia sab raahon ko apni baahon mein
Ghar, bastiyaan aur zameen ujad gayi in kaali raaton mein
Apne logon ke sath, hum saath hain yahan, ek dusre ke dard se Juda nahi
Himachal ke dil mein base hain apno ke naam, yahan ke log hain mazboot aur unke sangarsh bhi kam to nahi
Umeed hai iss aapda ke baad aayegi khushiyon ki bahaar
Tabaahi se ladkar karenge iss mushkil ko bhi paar
Apni devbhoomi ko sanwaarne mein hum fir honge tayaar